tahajjud mein wo rang-o-bu raat bhar khuda se rahi guftugu raat bhar jo khwabon mein lahrae phulon ke jam mahakte rahe be-subu raat bhar hua jo sar-e-sham dil pash pash kiya tar-e-gham se rafu raat bhar wo tanhai ka khub-surat hujum wo mela sar-e-ab-ju raat bhar chamakte rahe aansuon ke charagh kiya yaad unhen ba-wazu raat bhar ye kamre se kaisi mahak aai thi wahan to na the main na tu raat bhar tumhein 'nur' khushbu ne dhunda bahut kahan tum rahe ai guru raat bhar