tahi-daman barhana-pa rawana ho gaya hun tabahi chal tere shana-ba-shana ho gaya hun teri raftar par qurban jaun ai taraqqi main apne ahd mein guzra zamana ho gaya hun mere atraf rahta hai hujum-e-na-muradi jabin-e-na-rasa mein aastana ho gaya hun hawa ki tan par gate hain mujh ko khushk patte main har tute hue dil ka tarana ho gaya hun meri mitti mein ab meri haqiqat dhundhti hai main duniya ke liye jab se fasana ho gaya hun mera bhi tazkira hone laga danishwaron mein to kya phir main bhi 'azim' kuchh diwana ho gaya hun