tahlil hue jate hain aawaz ke sam mein

tahlil hue jate hain aawaz ke sam mein
tair to chale aae the gandum ke bharam mein

aawaz lagati hai mujhe meri khamoshi
aur shor machati hai saba dida-e-nam mein

tanhai chali aai thi ek roz mere ghar
ab khak udati hai isi dasht-e-alam mein

jo log mujhe dhundhne nikle the unhen ab
sab dhundhne nikle hain mere naqsh-e-qadam mein

hum kaise yahan khwab ke ambar lagate
aankhen to laga rakkhi thin viran shikam mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close