tai ho saka na fasla lambi udan se main dher ho ke rah gaya aakhir takan se us be-gunah ki chikh ne kya kuchh nahin kaha par log chhup ke dekh rahe the makan se tufan-e-sad-zawal se kashti bachaiye khatra na talne wala hai ye baadban se rishton ki bhid-bhad se wo bhi alag hua main bhi najat pa gaya wahm-o-guman se ji chahta hai sari thakan odh lun 'sahar' aakhir main aur kitna ladun jism o jaan se