taj mein ho bhi sakta hai hira kho bhi sakta hai jage bhag to man na kar bakht hai so bhi sakta hai aankh mein rahne wale sun ashk dubo bhi sakta hai wo qahhaar bhi hai lekin banda ro bhi sakta hai jis mein katne ka dam ho wo hi bo bhi sakta hai kaun kisi ka hai 'ejaz' kya koi ho bhi sakta hai