susta raha hun main abhi halkan to nahin

susta raha hun main abhi halkan to nahin
ye zindagi hai itni bhi aasan to nahin

ai kash ittifaq se mil jae wo magar
is husn-e-ittifaq ka imkan to nahin

ai mustaqil udasi na mujh mein qiyam kar
viran hun par itna bhi viran to nahin

ai dost kaise tujh se main karta koi gila
apne kiye pe main bhi pasheman to nahin

ek dusre pe marne ke wade to hain magar
ek dusre pe koi bhi qurban to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close