tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati falak yun charkh kyun khata zamin kyun farsh ho jati hina tere kaf-e-pa ko na us shokhi se sahlati ye aankhen kyun lahu rotin unhon ki nind kyun jati agar ye sard-mehri tuj ko aasaish na sikhlati to kyunkar aaftab-e-husn ki garmi mein nind aati ilahi dard-e-gham ki sarzamin ka haal kya hota mohabbat gar hamari chashm-e-tar se meinh na barsati