nazar ka mil ke takrana na tum bhule na hum bhule mohabbat ka wo afsana na tum bhule na hum bhule sataya tha hamein kitna zamane ke taghayyur ne zamane ka badal jaana na tum bhule na hum bhule bhari barsat mein paiham judai ke tasawwur se wo mil kar ashk barsana na tum bhule na hum bhule bahaaren gulsitan ki ras jab hum ko na aai thin khizan se dil ka bahlana na tum bhule na hum bhule guzarin kitni raaten gin ke tare dard-e-furqat mein judai ka wo afsana na tum bhule na hum bhule fareb-e-arzu khana hi fitrat hai mohabbat ki fareb-e-arzu khana na tum bhule na hum bhule hansi mein katti thin raaten khushi mein din guzarta tha 'kanwal' mazi ka afsana na tum bhule na hum bhule