tajdid-e-ahd kar kisi simin badan ke sath

tajdid-e-ahd kar kisi simin badan ke sath
yani luta shabab sharab-e-kuhan ke sath

wabasta-e-bahaar ho khud misl-e-rang-o-bu
yun zindagi guzar kisi gul-e-badan ke sath

han ai mughanniya koi maddham sa rag chhed
yani mila rabab dil-e-pur-mehan ke sath

saqi pila sharab zakat-e-shabab de
han phir koi mazaq dil-e-pur-mehan ke sath

dil chahta hai phir koi bahka hua sa tir
phir khinch le kaman usi bankpan ke sath

zahid ye talkh guftugu ye sun hazar haif
zalim guzar di kisi shirin-dahan ke sath

turfa sitam hain charkh ki ye aazmaishen
wo bhi sharik-e-gham hain dil-e-pur-mehan ke sath

mahrum-e-iltifat nahin chhed hai murad
dil ko bhi lag hai nigah-e-pur-fatan ke sath

'talib' mujhi se puchhna 'talib' tu kaun hai
hans dena phir kisi ka ajab bhole-pan ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close