takalluf hai murad-e-dil ka dil par bar ho jaana

takalluf hai murad-e-dil ka dil par bar ho jaana
mohabbat kya hai marne ke liye tayyar ho jaana

na kaam aaya un aahon ka falak ke par ho jaana
mere sone se mushkil tha tera bedar ho jaana

nazar milte hi un se aa gaya sara asar dil mein
use aata na tha pahle kabhi bimar ho jaana

wafa ka rahbar hai tuda-e-khaki ki jaan us ko
kaman-kash dil hai aage ek zara hushiyar ho jaana

ye tufan ashk ka kam ho to samjhun dub kar ubhra
isi matlab ko sab kahte hain beda par ho jaana

tah-e-shamshir ja-e-mardum-e-did hai dekh ai dil
yunhi tu bhi usi din ke liye tayyar ho jaana

zara si ek nigah-e-ishq mein aankhon se girta hai
bahut aasan hai insan ka be-kar ho jaana

dil-e-sayyaad se shikwa karun kya sahal hai is ko
adu phulon ka ho kar ham-ziyan-e-khar ho jaana

hua jo kuchh hua mamnun hun sahba-e-ghaflat ka
qafas mein aa ke ab be-kar hai hushiyar ho jaana

ye kaisi na-tawani hai ki dil mahsus karta hai
mere kandhon pe khud mere hi sar ka bar ho jaana

nazar ko ek jumbish aur de ai dekhne wale
ishaare par hai in zakhmon ka damn-dar ho jaana

baham hain be-hisi-o-his ki dil ko khwab aata hai
kabhi shaq ho ke dar hona kabhi diwar ho jaana

tumhaare zoam mein rahraw ka raste se guzarna hai
kisi chhute hue nawak ka dil ke par ho jaana

tera aawaza-e-husn-e-sukhan achchha nahin 'saqib'
nazar padti hai tujh par ek zara hushyar ho jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close