sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya jo shajar phuta zamin se bij hi ko kha gaya kya gila tujh se ki gulshan ka muqaddar hai yahi abr ghir kar jab bhi aaya aag hi barsa gaya ab kinaron se na mange qatre qatre ka hisab kyun samundar ki taraf bahta hua dariya gaya meri sairabi bhi meri tishnagi se kam na thi main misal-e-abr aaya surat-e-sahra gaya husn ke hamrah chalta tha julusi-e-tishnagan ishq tanha dahr mein aaya tha aur tanha gaya 'mohsin'-ehsan kisi baadal ka tukda hai ki jo ek lamhe ke liye aaya ghira barsa gaya