takhliq-e-kaenat digar kar sake to kar paida khud apne sham-o-sahar kar sake to kar phulon mein shab guzarna mushkil nahin koi kanton pe koi raat basar kar sake to kar achchha nahin kisi ki tamanna se khelna achchha yahi hai is se hazar kar sake to kar har ashk-e-khun hai makhzan-e-sarmaya-e-hayat har ashk-e-khun ko lal-o-gohar kar sake to kar tare marahil-e-safar-e-shauq hi sahi taron ko bhi sharik-e-safar kar sake to kar aql-o-khirad ke marhale tai kar liye to kya wahm-o-guman ke marke sar kar sake to kar 'faruq' ye bahaar-e-chaman phir na aaegi yaran-e-mai-kada ko khabar kar sake to kar