taKHliq ka andaz nikal aur tarah ka

takhliq ka andaz nikal aur tarah ka
peda koi ab chaak pe dal aur tarah ka

dil honge dilon mein koi dhadkan nahin hogi
insan pe aana hai zawal aur tarah ka

aflak ki mashal se andhere na mitenge
suraj koi dharti se uchhaal aur tarah ka

muddat se mere nutq-o-takhayyul mein thani hai
lafz aur tarah ke hain khayal aur tarah ka

wo dur se email pe kar lete hain baaten
hijr aur tarah ka hai visal aur tarah ka

duniya ki sabhi aankhen hain us aankh pe hairan
ab dasht mein aaya hai ghazal aur tarah ka

qimat bhi koi puchhne aata nahin 'sabir'
dukan mein dala hai jo mal aur tarah ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close