nazar mein muddaton ibrat ka manzar baith jata hai saf-e-fuqara mein jab koi tawangar baith jata hai tazad-e-bahami ho bhaiyon mein ek tabahi hai hon diwaren agar kachchi to phir ghar baith jata hai parae ho gae bete na puchhen laghari mein ab pareshan bap budha sar pakad kar baith jata hai zamir-o-abru khuddariyan sab bechi jati hain bike zan mard darwaze ke bahar baith jata hai sharakat ki kamai hai to kyon lad kar ganwate ho taraazu le ke munsif ban ke bandar baith jata hai karam hai lok-shahi ka siyasat ka karishma hai karodon ki kamai karke leader baith jata hai thakan ko bhul kar chalna hi 'anwar' zindagani hai wo manzil pa nahin sakta jo thak kar baith jata hai