taKHt-o-taj aur na kuchh mal-o-zar chahiye

takht-o-taj aur na kuchh mal-o-zar chahiye
mujh ko to sirf us ki khabar chahiye

dhup aangan se jati nahin hai kabhi
sae ke waste ek shajar chahiye

dar-ba-dar thokaren kha ke aaya hun main
mere sar ko tera sang-e-dar chahiye

tod de jo qafas ki sabhi tiliyan
mujh ko wo quwwat-e-baal-o-par chahiye

jin ki raaten guzarti hain zer-e-falak
un ko bhi shahr mein koi ghar chahiye

naqsh-e-gham jo mita de dil-e-zar ka
'dagh' ko wo karam ki nazar chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close