takid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko bechain hon dil jin se wo naghme na alapo ai ahl-e-watan! khao piyo shauq se lekin khelo na kabhi sar se kabhi munh se na bolo har tair-e-parran ke par-o-baal karo qainch har banda-e-azad ko shishe mein utaro ban jae riwayat na kahin halqa-e-zanjir har rafta ko maujud ki mizan pe tolo pursan-e-pareshani-e-insan nahin koi qismat ki girah nakhun-e-tadbir se kholo kyun sarf-e-nazar karte ho anjam se apne qudrat to taraf-dar kisi ki nahin logo! hum to hain faqat dil-zada-e-zauq-e-tamasha rum hum se abas karte ho ai zohra-nigaho! hum chashm-e-sahar, dida-e-shab, dast-e-saba hain parda to hai na-mahramon se lala-azaro! wo qaum ki nam is ka musalman hai 'khalid' kya yaad hai shart antum-ul-alaun ki us ko?