takmil-e-arzu ki tamanna karenge hum khud apne jazb-e-shauq ko ruswa karenge hum dard-e-jigar ka aaj mudawa karenge hum qismat hamari soegi jaga karenge hum gum-karda rah-e-dasht-e-junun mein na ho koi ab apne naqsh-e-pa ko mitaya karenge hum mana ki rah-e-ishq mein hai naqs-e-abru kis ne kaha ki tark-e-tamanna karenge hum aisa bhi koi hoga zamane mein inqalab jab aankh bhar ke aap ko dekha karenge hum baada to wo bhi pita hai lekin ba-qaid-e-hosh 'manzar' ko chashm-e-khalq mein ruswa karenge hum