tabassum lab pe aankhon mein mohabbat ki kahani hai tumhaari har ada mein ek nashat-e-kaamrani hai bahut hi mukhtasar apni hadis-e-zindagani hai tere aariz ke jalwe hain mera khwab-e-jawani hai isi saghar mein saqi dekh aab-e-zindagani hai ki mauj-e-mai mein pinhan raaz-e-umr-e-jawedani hai wahi tanhai ka aalam wahi hai yaad phir un ki wahi main hun wahi phir soz-e-gham-ha-e-nihani hai bahaar aai hai gulshan mein magar kumhla gae ghunche gulon ke lab pe ya-rab aaj kanton ki kahani hai ajal ko bhi pukara hai dua-e-zist bhi ki hai kabhi dasht-e-junun ki hum ne 'manzar' khak chhani hai