takra rahi hain tez hawaen chatan se bahar na jao apne shikasta makan se wo raat bhar charagh ki lau dekhta raha imkan tarashta hai jo apne guman se azm-e-safar hai dhup ka sahra hai aur main dariya to sath chhod gaya darmiyan se wo mausam-e-khizan ki thakan hi mein jal gae bahar khile jo phul tere saeban se ek umr ho gai hai ki darta raha hun main raushan charagh se kabhi andhe makan se gahre samundaron mein sitara na tha koi sahil ki sham mil na saki baadban se diwar aaine ki hai shishe ke baam-o-dar lekin ghubar uthta hai mere makan se