labon pe hai jo tabassum to aankh pur-nam hai shuur-e-gham ka ye aalam ajib aalam hai guzar na jada-e-imkan se be-khayali mein yahin kahin teri jannat yahin jahannam hai bhatak raha hai dil imroz ke andheron mein nishan-e-manzil-e-farda bahut hi mubham hai badha diya hai asiron ki khasta-haali ne qafas se ta-ba-chaman warna fasla kam hai abhi nahin kisi aalam mein dil thaharne ka abhi nazar mein teri anjuman ka aalam hai kahan ye zindagi-e-harza-gard le aai na rahguzar-e-tarab hai na jada-e-gham hai kuchh aise hum ne tere gham ki parwarish ki hai ki jaise maqsad-e-hasti faqat tera gham hai