talab roTi ki taDpae to KHatre bhul jate hain

talab roti ki tadpae to khatre bhul jate hain
parindon ko shikari ke shikanje bhul jate hain

zamane ne azal se hi ye apni rit hai rakkhi
jo sasta kuchh mayassar ho to mahnge bhul jate hain

mashaqqat ki nahaj ek din unhen kundan banati hai
jo bachche muflisi ki zad mein baste bhul jate hain

hua hai khun ka pyasa yahan par har koi banda
hawas daulat ki badh jae to apne bhul jate hain

sabhi kaamon ko apne hum nibhate hain saliqe se
ulajh kar teri yaadon mein niwale bhul jate hain

tu apni be-nawai par ziyaada gham na kar 'nasir'
lage jab ishq ki thokar to raste bhul jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close