yahan tayyun-e-qadr-e-hayat kya karte

yahan tayyun-e-qadr-e-hayat kya karte
ki raste hi mein manzil ki baat kya karte

qasam to khai thi manzil pe ja ke dam lenge
pakad ke panw mera hadsat kya karte

the kan band to aankhon ki gum thi binai
sadaen de ke bhala waqiat kya karte

hamein to fikr thi waiz ki rustagari ki
hum apne haq mein dua-e-najat kya karte

hamari tishna-labi to rahin-e-khanjar thi
koi batae ki le kar furaat kya karte

nawazish-e-gham-e-dauran hi kam na thi 'natiq'
idhar wo apna rukh-e-iltifat kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close