talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha wo kaun aankhen thin jin ki khatir ye khwab dekha jo rut bhi aae hamin se girya ka rizq mange hamari surat kise zamin intikhab dekha nadamaten bahte aansuon se sharh na paen safina apni dua ka maqtal rikab dekha barasti aankhon se sukhe talab bhar na paen ye gham ka dariya misal-e-qarz-e-sahab dekha kabhi to aankhon mein un ki aabaadiyan khilengi wo bastiyan umr bhar jinhen zer-e-ab dekha abhi to bakhiya-gari ko sozan hi kaam aae hina ki dahliz pe tulu-e-hijab dekha yaqin ki tishna-labi muqaddar raqam rahegi wufur-e-dariya bhi misl-e-dariya-e-khwab dekha jata gaya sari aadaten bas gale se lag ke us ek anjum ko chandni ke hisab dekha khayal us ke badan ki galiyon ko dhundta hai wo jis ko dekha to hairaton ko naqab dekha