maujud the abhi abhi ru-posh ho gae ai mast-e-naz tum to mere hosh ho gae sote mein wo jo mujh se ham-aghosh ho gae jitne gile the khwab-e-faramosh ho gae wade ki raat aai qaza is ada ke sath dhoke mein tere us se ham-aghosh ho gae barson hue na tum ne kiya bhul kar bhi yaad wade ki tarah hum bhi faramosh ho gae aankhon mein bhi jo aae to allah-re hijab ban kar nazar nazar se wo ru-posh ho gae kya kya zaban-daraaz charagh anjuman mein the daman-kashan tum aae to khamosh ho gae yaran-e-rafta baat ka dete nahin jawab kya kah diya faza ne ki khamosh ho gae aai shab-e-visal to nind aa gai unhen hum hosh mein jo aae wo madhosh ho gae mar kar tamam sar se talin aafaten 'jalil' hum jaan de ke sab se subuk-dosh ho gae