talash-e-yar mein nikle to yaad ghar na raha wo shauq-e-did ki andaza-e-safar na raha huin bashaaraten hijrat ki jab parindon ko to un ke dil mein badalti ruton ka dar na raha sitam-zarifi-e-tahzib-e-nau tere qurban koi bhi shakhs zamane mein mo'atabar na raha falak se utrega hum par tamazaton ka azab agar zamin pe kahin saya-e-shajar na raha unhin ke pas hain ab bhi wasail-e-tamir jinhen saliqa-e-tazin-e-baam-o-dar na raha 'asad' ka aur zamana tha ab to majnun par kisi ne sang uthaya to yaad sar na raha usi khuda se hai ummid-e-maghfirat ai 'soz' ki jis ka khauf tere dil mein umr bhar na raha