aql-o-din hai rah-e-junun ke KHilaf

aql-o-din hai rah-e-junun ke khilaf
kar raha hun harim-e-dil ka tawaf

waqt ka sath chhodne wale
waqt karta nahin qusur muaf

aur kuchh hai rawish zamane ki
ab na hum wo na sirat-e-aslaf

sharh-e-gham to koi gunah na thi
mujh se kyon ho gaya zamana khilaf

main mohabbat mein be-qarar sahi
hai ye kis ki khata qusur muaf

muskuraati hui nazar pe na ja
mukhlison ke bhi dil nahin hain saf

rasm-o-ain ka eatibar nahin
‘hosh’ duniya hai dushman-e-insaf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close