talash jin ki hai wo din zarur aaenge ye aur baat sahi hum na dekh paenge yaqin to hai ki khulega na khul saka bhi agar dar-e-bahaar pe dastak diye hi jaenge ghunuda rahon ko tak tak ke sogwar na ho tere qadam hi musafir inhen jagaenge labon ki maut se bad-tar hai fikr-o-jazb ki maut kidhar hain wo jo unhen maut se bachaenge tawil raat bhi aakhir ko khatm hoti hai 'sharif' hum na andheron se mat khaenge