jab bhi aaankhon mein tere wasl ka lamha chamka chashm-e-be-ab ki dahliz pe dariya chamka fasl-e-gul aai khule bagh mein khushbu ke alam dil ke sahil pe tere nam ka tara chamka aks be-naqsh hue aaine dhundlane lage dard ka chand sar-e-baam-e-tamanna chamka rang aazad hue gul ki girah khulte hi ek lamhe mein ajab bagh ka chehra chamka pairahan mein bhi tera husn na tha hashr se kam jab khule band-e-qaba aur hi naqsha chamka dil ki diwar pe udte rahe malbus ke rang der tak un mein teri yaad ka saya chamka ruh ki aankh chaka-chaund hui jati hai kis ki aahat ka mere kan mein naghma chamka lahren uth uth ke magar us ka badan chumti thin wo jo pani mein gaya khub hi dariya chamka hijr panpa na tera wasl hamein ras aaya kisi maidan mein tara na hamara chamka jaise barish se dhule sehn-e-gulistan 'ajmad' aankh jab khushk hui aur wo chehra chamka