talatum mein hai ab kashti kinara kis ko milta hai jo sahil tak pahunch jae wo dhaara kis ko milta hai nikalne ko bhanwar se yun to kitni kashtiyan niklin magar ab dekhna ye hai kinara kis ko milta hai muqaddar apna apna hai ye qismat apni apni hai na jaane un ki bahon ka sahaara kis ko milta hai bahaaren phul tare chandni raaten hasin manzar chale aao ye mauqa phir dobara kis ko milta hai teri mahfil mein dekhen aaj ruswa kaun hota hai bhari mahfil se uthne ka ishaara kis ko milta hai umiden le kar aae hain na jaane kitne parwane magar jalne ka dekhen ab ishaara kis ko milta hai khushi ki halki chhanw mein guzar mumkin nahin 'tishna' alam ke gahre sae se kinara kis ko milta hai