talib-e-ishq hai kya salik-e-uryan na hua qurb mahjur hua wasil-e-jaanan na hua hain junun josh wahi jazb ka nisyan na hua qatra dariya jo hua aaina hairan na hua kya siya-mast hua kaif mein raqsan na hua jam-e-sar-josh se bhi salik-e-wajdan na hua wasl-e-mauud se aashob-e-tamanna hai adam be-tamanna tera aashufta-e-hijran na hua main jo majzub-e-azal tha na gai mahwiyyat subh-e-mahshar se mera chaak gareban na hua did-e-be-chun-o-chigun sair-e-lataef mein jo thi mahw-e-aina-e-nairngi-e-alwan na hua wusat-e-mashrab-e-rindan hai tilism-e-hairat ye kisi tang faza dil ka bayaban na hua surat-e-haal ne mashhud kiya kaif-e-batun raaz-e-sar-basta mera girya-e-pinhan na hua jama kyun farq ho nairang-e-mazahir ke sabab tera manzur-e-nazar aankhon se pinhan na hua aankh se aankh ladi chin-e-jabin mahw hui shauq-e-didar mera jalwa-pasheman na hua jam-e-sarshaar mein kuchh kaif na aaya hum ko 'saqi'-e-mast jo sar-halqa-e-mastan na hua