tir khatm hain to kya hath mein kaman rakhna is muhib jangal mein hausla jawan rakhna kya pata hawaen kab mehrban ho jaen paniyon mein jab utro sath baadban rakhna ranjishen bhula dena fasle mita dena ek mahin sa parda phir bhi darmiyan rakhna hum bhi hont si lenge ji sake to ji lenge kya koi zaruri hai bolti zaban rakhna ye ghadi to aai thi yun hi sargirani thi ab fuzul lagta hai koi saeban rakhna lahr lahr bikhri hai qahr qahr dariya mein be-jawaz lagta hai sai-e-raegan rakhna dusron ki zid hun main kitna munfarid hun main ye bhi kya ki sab jaisa sar pe aasman rakhna