'talkh' suna hai ji tera arsa hua nidhaal hai khud se zara nikal ke dekh ek sa sab ka haal hai samne aa gaya wo jab kar gae dar-guzar use ab ye talash hai abas mera yahi khayal hai rah takega kya koi aa bhi sakega kya koi chal paden ya ruke rahen sochna tak muhaal hai waqt-shikan koi kahan waqt ke hath pad gaya is ka na kuchh hisab hai aur na koi misal hai apni har ek chaal par tum jo rahe ho khanda-zan mat hai dekhte ho kya aao tumhaari chaal hai radd o qubul tera haq radd-e-amal hamara haq ek bhi multaji nahin sab ki nazar sawal hai 'talkh' main is ka aaj tak dhund nahin saka jawaz dil ko ye kya sukun hai aur ye kya malal hai