talkhi-e-haalat-e-dauran ka bayan hai zindagi dard-o-gham ki ek musalsal dastan hai zindagi allah allah ye safar ye rah ye dushwariyan waqt ke shanon pe ek bar-e-giran hai zindagi jin ki halchal mein hai tufani hawaon ka kharosh un tadapti aarzuon ka jahan hai zindagi shiddat-e-ehsas-e-nakaami ki aatish-gah se khirman-e-jazbaat par shola-fishan hai zindagi hai kise ab zindagi ke dard-e-pinhan ki khabar apni barbaadi ki khud hi raaz-dan hai zindagi ye umidon ka chaman hai rashk-e-sad husn-e-chaman is chaman ki ek bahaar-e-jawedan hai zindagi hai usi ke nur se tabani-e-kaun-o-makan zulmat-e-bazm-e-jahan mein zau-fishan hai zindagi us ki marzi par hai har qaid o rihai munhasir khud qafas hai aur khud hi aashiyan hai zindagi 'naqsh' dard-e-qaum hai qalb o jigar mein shola-zan jazba-e-ahl-e-watan ki tarjuman hai zindagi