suli chadhe jo yar ke qad par fida na ho phansi chadhe jo qaidi-e-zulf-e-rasa na ho mazmun wo kya jo lazzat-e-gham se bhara na ho shaer wo kya kalam mein jis ke maza na ho bad-nam mere waste wo dilruba na ho ya-rab adu ke hath se meri qaza na ho jab apni koi baat baghair-az-dua na ho dushman ke kahne sunne se nadan khafa na ho ho wo agar khilaf-e-muafiq hawa na ho dube wo naw jis ka khuda nakhuda na ho dil-dadgi ko husn-e-khuda-dad kam nahin naseh agar nahin hai buton mein wafa na ho roz-e-jaza wo shokh mile hum ko ai khuda is ke siwa kuchh aur adu ki saza na ho mushkil ka samna ho to himmat na haariye himmat hai shart sahib-e-himmat se kya na ho but aazaran-e-waqt banaen agar hazar tera nazir ek bhi nam khuda na ho dhoke mein mere qatl kya us ne ghair ko qatil ka kya qusur jo meri qaza na ho sach hai ki har kamal ko duniya mein hai zawal aisa bada hai kaun jo aakhir ghata na ho roz-e-jaza se waiz-e-nadan use dara sadma shab-e-firaq ka jis ne saha na ho milta nahin pata tere chhalle ke chor ka ai gul-badan ye shokhi-e-duzd-e-hina na ho tera gila na ghair ka shikwa zaban pe hai karta hun arz haal-e-sitamgar khafa na ho pate hain kaj-sarisht jaza apne feal ki kahti hai rasti ki bure ka bhala na ho bulbul na phul khanda-e-subh-e-bahaar par nadan kahin ye khanda-e-dandan-numa na ho teri zaban pe aae agar harf-e-iltiyam kyun kar shikast-e-dil ke liye momya na ho ghafil mariz-e-ishq ki tu ne khabar na li tha ghair us ka haal wo ab tak ho ya na ho sharminda ai karim na hon aashiqon mein hum pursish hamare qatl ki roz-e-jaza na ho karta hai ai 'asar' dil-e-khun-gashta ka gila aashiq wo kya ki khasta-e-tegh-e-jafa na ho