talne ke nahin ahl-e-wafa khauf-e-ziyan se ye bahs magar kaun kare ahl-e-zaman se rag rag mein rawan bahr-e-fughan chadh gaya lekin virani-e-jaan kam to hui zikr-e-butan se roghan na safedi na marammat se milega ek pas-e-maraatib ki gaya sab ke makan se aazar-o-musibat se ilaqa hai purana rishta hai qadimi mera fariyaad-o-fughan se ghaw bhi zara tak ke yaron ne lagae kuchh dil ko bhi nisbat thi bahut nok-e-sinan se ek gosha-e-dil us ko dikhane ka nahin ye mahram nahin karna use ek sirr-e-nihan se sarsabz rahe zakhm-e-junun jis ki badaulat ek rabt to qaem hai adu-e-dil-o-jaan se