kucha-ha-e-dil-o-jaan ki tira-shabo aas marti nahin aakhiri sans bharte sitaro suno aas marti nahin chashm-e-giryan zara tham bhi ja ashk mein dil bhi bah jaega sabr sahra-e-wahshat ke matam-garo aas marti nahin dard uthne se dil ke sharare kahan bujh sake hain kabhi lakh raushan nigahon mein khun la bharo aas marti nahin wali-e-shahr naghmon ka qatil baja par hamein gham hai kya fikr zinda ho jab tak mere shairo aas marti nahin tum se pahle bhi khwabon ki gardan udane bade aae the sar kate khwab chilla uthe dosto aas marti nahin rakh bin jal bujhe par ye dil se dhuan ab bhi uthta hai kyun aankh mein dekhne ki sakat ho na ho aas marti nahin