talne se waqt kya talta raha aastin mein sanp ek palta raha maut bhi leti rahi apna khiraj karobar-e-zist bhi chalta raha koi to sancha kabhi aaega ras main har ek sanche mein yun dhalta raha shahar ke sare mahal mahfuz the tera mera aashiyan jalta raha zindagi mein aur sab kuchh tha hasin apna hona hi mujhe khalta raha bujh gae tahzib-e-nau ke sab charagh ek mitti ka diya jalta raha aarzuen khak mein milti rahin nakhl-e-ulfat phulta phalta raha ban ke sone ka hiran tera wajud mere mahsusat ko chhalta raha raat bhar suni rahi birhan ki sej aur aangan mein diya jalta raha zikr-e-haq bhi tha baja 'sahir' magar mai-kashi ka daur bhi chalta raha