tamam aab-o-hawa bahr-o-hajar aaluda hui hai dahr ki har sham-o-sahar aaluda hasad ne bughz ne ghibat ne ibn-e-adam ke kiye hain zehnon ke aiwanon ke dar aaluda hamin ne kat ke jangal basae pukhta shahr aur is tarah se kiye ganw ke ghar aaluda ajib qism ki aaludgi hai duniya mein ki qaumen sari hui jati hain shar-aluda kisi ko bakhsha na aaludgi ne ai 'shaarib' tamam ahl-e-bashar nari-o-nar aaluda