surur ban ke nigahon mein sar mein rahta hai ek iltifat jo un ki nazar mein rahta hai wahi hai jaan-e-tamanna wahi hai dil ka qarar ki jis ka aks meri chashm-e-tar mein rahta hai ye ek din ka to qissa nahin ki khatm hua junun hamara hamesha safar mein rahta hai idhar hain laghzishen paiham nawazishen hain udhar hamara jurm kab un ki nazar mein rahta hai sharab lao ki main hosh mein to aa jaun nashe baghair ye kab apne sar mein rahta hai ajib baat hai jab samne wo rahte hain mera hawas kisi rahguzar mein rahta hai hayat-saz tag-o-dau ke bawajud ai dost bada sukun bhalai-nagar mein rahta hai khayal-o-khwab ki wadi se laut kar 'ashraf' bahut udas sa bas apne ghar mein rahta hai