tamam aag hai dil rah khar-o-khas ki nahin yahi gali hai jahan saltanat hawas ki nahin wo sab ke samne banhon mein aa ke kho jaana farishton jaisi ye masumiyat hawas ki nahin bas ek sham ki lazzat bahut ghanimat jaan azim pak mohabbat har ek ke bas ki nahin tha ek shakhs har ek shakhs us pe aashiq tha ye baat kal ki hai do-chaar das baras ki nahin nisab dil ka kahan rakh diya classon mein ghazal ki aag hai ye kaghazon ke bas ki nahin