talwar se kata hai phulon-bhari dalon ko duniya ne nahin chaha hum chahne walon ko main aag tha phulon mein tabdil hua kaise bachchon ki tarah chuma us ne mere galon ko akhlaq wafa chahat sab qimti kapde hain har roz na odha kar in reshmi shaalon ko barsat ka mausam to lahrane ka mausam hai udne do hawaon mein bikhre hue baalon ko chidiyon ke liye chawal paudon ke liye pani thodi si mohabbat de hum chahne walon ko ab rakh batorenge alfaz ke saudagar main aag pe rakh dunga nayab risalon ko maula mujhe pani de main ne nahin manga tha chandi ki surahi ko sone ke piyalon ko