tamam aalam-e-imkan mere guman mein hai wo tir hun jo abhi waqt ki kaman mein hai abhi wo subh nahin hai ki mera kashf khule wo harf-e-sham hun jo ajnabi zaban mein hai in aanganon mein hain barson se ek se din raat yahi ruka hua lamha har ek makan mein hai ye aks-e-ab hai ya is ka daman-e-rangin ajib tarah ki surkhi si baadban mein hai jahan dalil ko patthar se todna thahre wo shahr-e-sang-dilan sakht imtihan mein hai mujhe adu ki baqa bhi aziz hai 'akbar' ki ek phul si diwar darmiyan mein hai