sharar-e-sang jo is shor-o-shar se niklega jalus-e-lala-o-nasrin kidhar se niklega main jaanta hun ki us ki khabar na aaegi tanazur us ka magar har khabar se niklega sabhi asir hue apni apni subhon ke wo koi hoga jo qaid-e-sahar se niklega kisi ko apne siwa kuchh nazar nahin aata jo dida-war hai tilism-e-nazar se niklega jalal-e-husn dikha mere mahtab-e-jamal tu raushni hai shabon ke asar se niklega shabon ko jagte ho jis ke khwab mein 'akbar' wo shahkar kamal-e-hunar se niklega