tamam dost to aae the wapsi ke liye

tamam dost to aae the wapsi ke liye
main aur bulb hain aakhir mein raushni ke liye

jise main jitne ki baat kar raha hun dost
wo khel hai hi nahin aam aadmi ke liye

kisi ke ghar ka agar shams dub jata hai
charagh jalte hain us ghar ke raushni ke liye

ye pahli raat hai main is qadar hua hun gharib
nahin hai mujh pe koi wajh khud-kushi ke liye

wo mere pas thi itne ki sans lagti thi
nadi ke pas main tadpa hun tishnagi ke liye

tumhein to achchhe-bure waqt ki padi hai yahan
taras gae hain kai log ek ghadi ke liye

kisi kisi pe ye wahshat sawar hoti hai
ki mere sher nahin hote har kisi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close