wo jis ki marzi se aae hain is sadi mein hum

wo jis ki marzi se aae hain is sadi mein hum
milenge us se magar aakhiri ghadi mein hum

tumhaari yaad mujhe aise dhundhti hai dost
charagh dhundhte hain jaise tirgi mein hum

sharif ladkiyan yak-dam se khul nahin pati
so dhire dhire se utrenge is nadi mein hum

wo baat karta hai aur muskura ke dekhta hai
simat gae hain faqat itni si khushi mein hum

tumhaare baad bichhadne mein dar nahin lagta
mufid kaam kar aae the buzdili mein hum

khuda khitab-e-siyasat se dur rakhna hamein
sukun chahte hain yar zindagi mein hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close