tamam-duniya ka lakht-e-jigar bana hua tha wo aadmi jo mera dard-e-sar bana hua tha use talash rahi hain meri udas aankhen jo khwab raat ke pichhle pahar bana hua tha pahunch ke kucha-e-jaanan mein aa gaya bahar mere wajud ke andar jo dar bana hua tha kamal-e-ishq ne mere kiya hai zer use kisi ka husn jo kal tak zabar bana hua tha utarti kaise sukun ki wahan koi chidiya mahal jo hirs ki buniyaad par bana hua tha bana diya use insan teri qurbat ne tere firaq mein jo jaanwar bana hua tha ye us ka shauq nahin us ki inkisari thi wasia ho ke bhi jo mukhtasar bana hua tha pahunch gaya hai jawani se ab budhape tak wo ek dukh jo sharik-e-safar bana hua tha hawas ke chaak ki mitti jawan thi jab tak tamam-shahr yahan kuza-gar bana hua tha wo jaanta tha mere an-kahe dukhon ka ilaj magar wo 'faiz'-miyan be-khabar bana hua tha