waqt ka kuchh ruka sa dhaara hai tum ne shayad mujhe pukara hai tum na aaoge ye bhi hai malum chand yaadon ka bas sahaara hai un ki yaadon ke chand phulon se chaman-e-taza dil hamara hai aaj hum ne to de ke jaan apni zindagi tera qarz utara hai un ki nazron ne zakhm-e-dil ko mere mundamil kar ke phir ubhaara hai log kahte hain us ko bhi shabnam sar-e-mizhgan jo ek sitara hai phir bhi hasil sukun nahin 'aslam' umr bhar hasraton ko mara hai