tamam jism agar la-ubaal hai to rahe wahi jo dasht mein tanha ghazal hai to rahe faqir bhul chuka hai nisab duniya ka tere nasib mein mal-o-manal hai to rahe aziz rakhti hai mujh ko watan ki khak bahut tere khulus mein ranj-o-malal hai to rahe kiya hai jang ko rukhsat magar dua de kar adu ke pas agar us ki dhaal hai to rahe talash karne ko nikle bahut se log tujhe nishan qadmon ka milna muhaal hai to rahe hisar bandh rahi hai 'nisar' sarshaari khilaf aaj junub-o-shumal hai to rahe