ashk-e-gham aankhon ne barsaya bahut jaane kyun un ka khayal aaya bahut us ko din hum ne duaen bar-ha zindagi mein jis ne tadpaya bahut jis ko apna dil samajhte the use apna kam aur aap ka paya bahut ban ke raaz-e-zindagi dil mein rahe zindagi mein phir bhi tarsaya bahut daulat o hashmat pe nazan ho koi hai hamein to dil ka sarmaya bahut dhup ki sakhti to thi lekin 'faraaz' zindagi mein phir bhi tha saya bahut