tamam rasta phulon bhara hai mere liye kahin to koi dua mangta hai mere liye tamam shahr hai dushman to kya hai mere liye main jaanta hun tera dar khula hai mere liye mujhe bichhadne ka gham to rahega ham-safro magar safar ka taqaza juda hai mere liye wo ek aks ki pal bhar nazar mein thahra tha tamam umr ka ab silsila hai mere liye ajib darguzari ka shikar hun ab tak koi karam hai na koi saza hai mere liye guzar sakunga na is khwab khwab basti se yahan ki mitti bhi zanjir-e-pa hai mere liye ab aap jaun to ja kar use sametun main tamam silsila bikhra pada hai mere liye ye husn-e-khatm-e-safar ye tilism-khana-e-rang ki aankh jhapkun to manzar naya hai mere liye ye kaise koh ke andar main dafn tha 'bani' wo abr ban ke barasta raha hai mere liye